bismil bismil, bulbul-e-bismil
mat mil mat mil, gul se mat mil
bismil bismil, bulbul-e-bismil
aye dil-e bulbul, bulbul-e-bismil
mushkil-e-dil bhi mushkil hoti hai
dil dhadke dil dil dhadke to
dhadkan-e-dil bhi harkat-e-dil hoti hai
khushbu-e-gul me ishq bhara hai
mat mil mat mil, gul se mat mil
aye bulbul-e-bismil
mat mil mat mil, gul se mat mil
aye bulbul-e-bismil
sun le zamana samjhata hu teri kahani dohrata hu
aye dil-e-bulbul, bulbul-e-bismil
ik joda tha nar mada ka bholi thi bulbul, nar sada tha
barf gira karti thi jab bhar jati thi kohsaaro me
ik baaz bada badneeyat tha udta tha sabz anzaaro me
pankho me uske maut chhupi thi
mehfil mehfil dhundh raha tha mehlo ki manzil
mehfil mehfil dhundh raha tha mehlo ki manzil
bulbul ke khwabo me ja kar zeher ke dank lagaye the
khushbu-e-gul me zeher bhara aur mada ko bhijwaye the
zeher ke dank lagaye the bulbul ke khwabo me ja kar
mada ko bhijwaye the zeher ke dank lagaye
vadi me chhidka baarood jheel me jaal bichha dale
chhuriyo se bechare nar ke dono pankh kat dale
are dil dil dil dil jhooth kahe ye
jhooth kahe buzdil mat mil mat mil, gul se mat mil
aye bulbul-e-bismil
zakhmi nar ko qaid kiya zanjeero me bandhwaya
baramula ke sheerinpur se dil pani me phikwaya
jehlum, jehlum laal laal hua laal laal hua laal laal hua laal
kashmir ke pani ki taasire ghul gayi zanjeere takdire
zinda hai wo zinda hoga mujrim bhi sharminda hoga
hosh me aaja, hosh me aaja aye bulbul-e-bismil
khushbu-e-gul me zeher bhara hai
hosh me aaja, hosh me aaja aye bulbul-e-bismil
Sudesh Adhana, the Choreographer, deserves special award for this. All the
performers and whole team behind this magnificent piece of artwork.. I bow
to thee !
Song can be called Raqs-e- Bismil ( Dance of the Wounded ).. :-)
It reminded me of Zatoichi's amazing stage dance with Japanese kodo drum
effects and foot tapping.