swagatam man pran se
tu hai har dukh ki dawa
swagatam ji jaan se
tu hai badlaw ki hawaa
tu mit prem geet sang sang gaaye re
tu jeet ke vinit ang sang laaye re
badlaw jindgi me soch se hi aayega
aur tu hamari soch ko disha dikhayega
bol de phir koi bhed khol de
sabar karo intezaar karo
tum chhalni se pani se bhar sakte ho
agar pani ke barf hone tak intezaar kar sakte ho
paisa se kuch der ki muskurahat kharidi jaa sakti hai
hamesha ki khushi nahi
dushmno ki talwar se jyada khatarnak hai
jhuthe dosto ka pyaar
agar tum suraj ke jaagne se pehle jagoge
to tum suraj ko bhi hara doge
tum na apne rup se jaane jaaoge
na rang se na aatma se, na apne naam se
tum jaane jaaoge apne kaam se
jitna yakin hai rab pe tumhe
utna yakin hai tujh pe hume
mili nayi chhat se wo muskaye
jo bhi chahe karna wo kar jaye
badlaw jindgi mai soch se hi ayega
aur tu hamari soch ko disha dikhayega
bol de phir koi bhed khol de
hukum dene wala hukum deta hai
raasta dikhane wala saath deta hai
tumhe hukumraan banna hai ya rehbar
agar muskhilo se bhagoge to wo tumahra pichha karegi
agar himmat se unka samna karoge to muskhile bhagengi
gusse pe kabu rakho
jo gusse mai uthta hai
wo haar ke baith jaata hai
dosto ye bhi gujar jaayega
ye baat baat baat mai hi bol jaye tu
din raat jo bhi kaam aaye wo bataye tu
badlaw jindgi mai soch se hi ayega
aur tu hamari soch ko disha dikhayega
bol de phir koi bhed khol de
thalaivaa