bura tum na mano to ek bat kah du
tumhari adao pe dil aa gaya hai
hai kahna agar to nayi bat kahiye
ye sun sun ke dil apna ghabra gaya hai
bura tum na mano to ek bat kah du
baharo ka mausam ye kali ghataye
ye kahti hai tumko gale se laga lu
tumhe aaj mai dil ki dhadkan sunakar
mohabbat ka apni diwana bana lu
diwana bana lu ye galo pe kaliyo ka masum bachpan
ye chandan sa mukhda mujhe bha gaya hai
bura tum na mano to ek bat kah du
wahi badlo ke purane fasane
wahi dil ki dhadkan ke jhute tarane
wahi git sau bar jo sun chuki hu
chale ho wahi tum mujhe phir sunane
mujhe phir sunane khuda ke liye mera pichha to chhod o
mera dil mohabbat se ub sa gaya
hai kahna agar to nayi bat kahiye
mohabbat se nafrat agar tum karogi
kaha leke jaogi phir ye jawani
bhala aaina bhi kaha tak sunega
tumhari zuba se tumhari kahani
tumhari kahani karo shukar tum mere diwanepan ka
mohabbat ka jis par nasha chha gaya hai
bura tum na mano to ek bat kah du
bahut humne dekhe jawa aap jaise
jinhone mohabbat na karke bahana
banaya hamesha nigaho ka apni
hasino ke masum dil ko nishana
dil ko nishana magar mai na bahakungi ye bat sunkar
zamana mujhe khub samjha gaya hai
bura tum na mano to ek bat kah du
tumhari adao pe dil aa gaya hai
hai kahna agar to nayi bat kahiye
ye sun sun ke dil apna ghabra gaya hai
bura tum na mano to ek bat kah du
Pure heaven Mohammed rafi sahib.