Lyrics of Chaand Chhupaa Aur Taare Tute Raat Gazab Ki Aai - चाँद छुपा और तारे डूबे रात ग़ज़ब की आई
chand chhupa aur tare dube rat gazab ki aayi
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
chand chhupa aur tare dube rat gazab ki aayi
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
tut padi hai aandhi gam ki
tut padi hai aandhi gam ki, aaj pavan hai pagal
aaj pavan hai pagal
kaap rahi hai dharti sari, chikh rahe hai badal
ho chikh rahe hai badal
dunia ke tufan hazaro, husn ki ik tanhai
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
maut ki nagan aaj khadi hai rah me fan failaye
jangal jangal naach rahe hai shaitano ke saye
ho shaitano ke saye
aaj kudaa khamosh hai jaise bhul gaya ho khudai
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
ghor andhera mushkil rahe, kadam-kadam pe dhokhe
ghor andhera mushkil rahe, kadam-kadam pe dhokhe
aaj mohabbat ruk na sakegi chahe khuda bhi roke
ho chahe khuda bhi roke
rah-e-vafa pe pichhe hatna, pyar ki hai rusvai
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
par nadi ke yar ka dera
ho par nadi ke yar ka dera, aaj milan hai tera
aaj milan hai tera
odh le tu lahro ki chunri, bandh le mauj ka sehra
ho bandh le mauj ka sehra
doli me majhdar ke hogi aaj teri vidai
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
dub ke in unchi lahro me nayya par laga le
ulfat ke tufan me jinda rahe hai marne wale
ho rahte hai marne wale
jite-ji sansar me kisne pyar ki manzil payi
husn chala hai ishq se milne zulm ki badli chayi
ho rat gazab ki aayi
tere dil ke khun se hoga lal chanab ka pani
dunia ke tarif me likhi jayegi ye kurbani
soni or mahiwal ne apni ishk me jan gawai
ishk me jan gawai
ho hamare pyare ke kisse sunaye jayenge
ye geet sare jamane gaye jayenge
hum na honge fasana hoga
hum na honge fasana hoga
aane wale ko aana hoga, jane wale ko jana hoga
One Of The Best Song By Mahendra Kapoor during his earlier days.Very Sad to
write that though he was almost like Rafi Saab even after the early demise
of Rafi Saab,Music Directors of Film Industry were looking for other
singers with Rafi Saab's Voice and could not find any singer who could
match Mahendra Kapoor OR close to Rafi Saab. He passed his last almost 15
Years singing private Bhajans for Audio Co's,though he had so many hits in
Films.Thanks 4 uploading this unforgettable Hit Song.