Lyrics of Chahe Dekhe Ghoor Ke Chahe Deve Galiya - चाहे देखे घूर के चाहे देवें गलिया
chahe dekhe ghur ke chahe deve galiya
hame to pasand hai gore galo waliya
phul nahi aag hai galo ki ye laliya
kale kale nag do kare rakhwaliya
mukhda hai aisa jaise
laddu moti chur ka laddu moti chur ka
karle garur tujhe hak hai garur ka
tujhe hak hai garur ka
chayi hai dilo pe teri julfo ki daliya
hame to pasand hai gore galo waliya
chahe dekhe ghur ke chahe deve galiya
hame to pasand hai gore galo waliya
acha nahi julfo ki jaliyo se khelna jaliyo se khelna
aisa na ho baithe baithe pade dukh jhelna
pade dukh jhelna
tikhi tikhi aankhe meri vish ki hai pyaliya
kale kale nag do kare rakhwaliya
phul nahi aag hai galo ki ye laliya
kale kale nag do kare rakhwaliya
dukh ho ke sukh hame sab manjur hai sab manjur hai
dil pe na gussa kijiye dil majbur hai dil majbur hai
kise nahi bhayegi ye phulo walo daliya
hame to pasand hai gore galo waliya
chahe dekhe ghur ke chahe deve galiya
hame to pasand hai gore galo waliya
phul nahi aag hai galo ki ye laliya
kale kale nag do kare rakhwaliya
@bnslslb1 Great song and great release. Nice to hear that your father
contributed a lot. I feel there is a typo in your post. Either you were in
the first grade or lower or perhaps 10 or 11 when you were in the 4th grade.