chakarvayuh ka chakar ghira hai korav dal ki chal hai
aaj kal ki chati per abimanu jaisa bal hai
samne is vyuh me pehle jaydarth aa gaye
veer avimanyu ke hatho ye bhi muh ki kha gaye
pehale socha maar daalu kya yahi satkarm hai
fir kaha na marna murchhit ghor adharam hai
chal kapat ki ye ladayi hoti dekh kar hoti vytha
sath youdhao se ladte ek balak ki katha
ye mahabharat ki katha ye mahabharat ki katha
samne dekha khade ye karan sar uncha liye
baan abimanu ka chhuta baan abimanu ka chhuta
dhanush ke tukade kiye hila dusasan ka aasan
hila dusasan ka aasan vo bhi bhaga kanp ke
kon aage ayega jawalamukhi is aag ke
ab lo dekho ab lo dekho bhanjo ke pyare mama aa gaye
aaj ye pase na palate aaj ye jhansa kha gaye
idhar dekho dhanudhari shalya saj dhaj kar khada
ye bhi tuta jis tarah daal se pataa juda
jawala bada aaj duryodhan ki na khair hai
aaj vish ugalega ye sadiyo purana bair hai
sabne socha sabne socha kis tarah balak ye baaj aayega
kut nitit se ise maro tabi mar jayega
ik taraf satho maharathi ek taraf balak akela
fir bhi jab tak paraniyo chhatriyo ka khel khela
wah re wah pyare batije tujhse ujjval vansh hai
aa gale mil le ghadi bar tu hamara ansh hai
is tarah chal kapti chali duryodhan chala
gale milne ke bahane nij bhatije ko chhala
peeth par abimanyu ke ek baan dokhe ka chala