dekho parde se aake dhoop ne hai hume roshan kiya
waise bhi aaj ka din yu hi gujar raha tha acha kiya
dhun ko yu chhed do ke rat ka asar abhi dhala nahi
abhi to the jawan hum bade kabhi pata chala nahi
saal ye kaha gaye pal do pal bas yad hai
barf jaise pighal gaye samay ki is sharab me
ho ho jindagi chalti jati hai
ho ho ha ye bahti jati hai
ho ho jindagi chalti jati hai
har din fir bhi hai naya
chalo chale kahi
dhire dhire kat rahe hai din ye
dhire kat rahe hai khwab ye
dhimi aanch pe rakhi hai pak rahi hai hasrate tamaam ye
wakt ki na kami yaha
khush khayal sang hai
shahar ki tej raftar bhi
hai chale dhire yaha
ho ho jindagi chalti jati hai
ho ho ha ye bahti jati hai
ho ho jindagi chalti jati hai
har din fir bhi hai naya
chalo chale kahi
shishe me hue hai rubaru to
ye dikha ke ha khush hai hum
suro ki chhav me pade hue hai
bekhabar behosh hum
ho ho jindagi chalti jati hai
ho ho ha ye bahti jati hai
ho ho jindagi chalti jati hai
har din fir bhi hai naya
ho ho jindagi chalti jati hai
ho ho ha ye bahti jati hai
ho ho jindagi chalti jati hai
har din fir bhi hai naya
chalo chale kahi