chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
jo dekhna ho zameen pe jannat to olia ke mazaar dekho
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
ye shah makdum lakhnavi hai ki naam minawali hai inka
shikkam me maadar ke padhte kuraan khata na farmate koi roza
yeh kaanpuri hai shahe yusuf zanabe makdum sharvardi
arab me jinke murid bhi hai khalifaaye chisht hai ye avadi
hakim sayad hai sha sikander ye chistiyaye bhi kadri bhi 
hum asre mehndi hasan shahidi yaha se milti hai zindagi bhi 
makam deva hai aankh walo zamale aale navi ko dekho 
jo aale akahar ko dekhna ho to hazi walish ali ko dekho 
vatan hai behra ichishswali ka inam sare ali oliya hai  
inhe vo rutba diya hai haq ne kabul inki har ek dua hai 
kitab nau gaz hai peer inka ayodhya wale yeh jaante hai 
jo martaba hai huzoor inka fakir allah ke maante hai 
ye baba ibrahim moliya hai yeh fej abad ke wali hai 
bada hi burnoor aastaa hai saawaliyo ke liye saki hai 
kuch aisi yaade ilahi karte ye kutbudin jaunpur waali
alag te sir pe se ek pal me ye sahibe dil hai nur wale 
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
jo dekhna ho zameen pe jannat to olia ke mazaar dekho
yahi hai makdum shah tayabb vatan banaras wali yeh kaamil
khushi se har ek wali se milte khusha da sina tha ayina dil
ye ek makhdum bhi ka sahib to hai samarkande dusre bhi 
hue hai ek saath dafn dono hai shehar darbhanga jinki basti 
chahe kamal shah-aal medi ki behre sunnat nikah karke 
padhaya kuraan nawabzaadi ki noor parde se door baithi
kayyam nawab ne diya jab ishahjaadi se akht kije
ye sunke jungle ki raah leli ki duniyadaari ko chhod baithe  
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
yahi hai makdoom shah daulat manir main hai kayam inka 
bihar me sab hi jante hai hua hai roshan jo naam inka 
yahi mujibulla kadiri hai vatan hai phulwari aap hi ka 
yeh apne fejo karam ke sadke fasana sunte hai har kisi ka 
madina bagdad se do arza chale ki deewane olia ho
mila ye azmer se ishara ke jao patna ko jagmagao
ye peer jag jor kash karde ki badshah saltanat luta di
faqir yu ek faryaad karli jaha pushane karam dikha di
ye oliya hai kabul hazrat murad mando ke kaam aate 
vatan bihare sharif inka vo rote jate vo haste aate 
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
jo dekhna ho zameen pe jannat to olia ke mazaar dekho
jo shah maula ali ne payi wafa to utha na jisme sarvar
sab jise kalkatta jaante hai vahi bana hai mazar atahar 
lakab jo mafir hai inhi ka hawa pe jinko sambhalte dekha 
inhi ko kalkatte waali rani ne saap dariya pe chalte dekha 
ye shan nizam murham puri hai zamin me lathi jo gaad di hai 
utawali ek nadi ko dekho ki aaj tak jo bhi beh rahi hai 
jo lakhpur aaye taj baba to saath the rahmato ke badal
azib pagal the ahl-e-duniya samjh rahe the inhi ko pagal
jilaya ek murda jaanvar ko chalai thi vaar ek nazar se
fir ahl-e-duniya ne sir jhukayal mafi mangi khuda ke dar se 
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
chalo ziyarat ko ahl-e-imaan ye shan-e-parvar digar dekho
jo dekhna ho zameen pe jannat to olia ke mazaar dekho

 
This is the longest song sung by Rafi Sahab which originally is 26 min 20
sec long.