are jab dharti thi aag ugalti
garm hawaaye jab thi chalti
ye chamatkaar prabhu ne dikhalaya
ek kisaan ka bhaag jagaya
are ho raha jaadu daaye baaye
chakit khadi hai daso dishaaye
ae nikli kunve se jaldhara
vo dhara jo bani fawara
banjar ho gaye ab paani paani
kya se kya ho gayi kahani
ae sachmuch hoti, dukh ke samay me
sachmuch hoti, dukh ke samay me
data ki pahchaan re bhaai
kya kisaan, kya kisaan aur kya bhagwaan
apni jagah dono hai mahaan
in dono par tika jahan
apni jagah dono hai mahaan
ab sunlo ek raaj ka kissa
are jo gujri us baat ka kissa
ae bhole bhagat ji soye hue the
sukh sapno me khoye hue the
itne me ek anaaj ki bori
chal di baahar chori chori
prabhu ke aage pichhe bori
jaise chaand ke pichhe chakori
are khel ye taaran haar ka dekho
jaadu uske pyaar ka dekho
apne aap hal chalne lage hai
mehnat ke phal milne lage hai
badhne laga hai khet me bija
har ek paata hai ye natija
aakhir karni kaam me aai
jhuma khet fasal lahraai
jhuma khet fasal lahraai
dhany hai ishwar dhany kisaan
dono ka jaadu ab pahchaana
ek daya ka saagr hai to
ek daya ka saagr hai
ek lohe ki chattaan
re bhai
kya kisaan, kya kisaan aur kya bhagwaan
apni jagah dono hai mahaan
in dono par tika jahan
apni jagah dono hai mahaan
apni jagah dono hai mahaan