chanda bhi nazar ayega
suraj bhi nazar ayega
sab log nazar aayenge
par tu nazar nahi aayegi
par tu nazar nahi aayegi
o gudiya o behna o laado khush rehna
tu iss ghar ko chhod ke chal di
humse mukhda mod ke chal di
sab se rista tod ke chal di
pi se nata jod ke chal di
o behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
ab ye angana ho gaya suna
dard badha ab dil ka duna
bhige bhige more naina
chal diya mere dil ka chaina
reh gaya tham ke dil bechara
ek anaath bhaiya tumhara
reh gaya tham ke dil bechara
ek anaath bhaiya tumhara
o gudiya o behna o laado khush rehna
maat pita ki akhiya roye
wo bachpan ki sakhiya roye
galiya aur chaubare roye
tu jo chali to saare roye
main kitna azaad tha gam se
kya ronak thi tere dam se
main kitna azaad tha gam se
kya ronak thi tere dam se
ab to meri kaun sunega
bhaiya tere sapne bunega
ab to meri kaun sunega
bhaiya tere sapne bunega
behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
tujhko piya ke desh hai jana
na jaane phir kab ho aana
mehki mehki raat bhi aayi
dekh teri baarat bhi aayi
ek din ye to hona hi tha
milke aakhir khona hi tha
ek din ye to hona hi tha
milke aakhir khona hi tha
meri dua ka gehna le jaa
le jaa meri behna le jaa
meri dua ka gehna le jaa
le jaa meri behna le jaa
behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
tu iss ghar ko chhod ke chal di
humse mukhda mod ke chal di
sab se rista tod ke chal di
pi se nata jod ke chal di
o behna khush rehna behna
o gudiya o behna o laado khush rehna
khush rehna khush rehna
khush rehna khush rehna
khush rehna khush rehna