chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
ho chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
are gori hogi kali hogi
gori hogi kali hogi
moti hogi dubli hogi
kaisi bhi chalegi humko
ho chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
ye batao shadi kyon nahi karte
han ye batao shadi kyon nahi karte
lagta hai chacha aane wali se darte hain
are bolo bolo kuch to bolo
bolo bolo kuch to bolo
kyon darte ho munh to kholo
nahi kisi se kahenge hum to
ho chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
gungi hogi bahri hogi
gungi hogi bahri hogi
luli hogi langdi hogi
kaisi bhi chalegi humko
ho chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
hogi jo chachi gungi
han hogi jo chachi gungi
jodi kya jamegi
der se piya ghar pe
jhgda na karegi
hogi jo chachi bahri
han han hogi jo chachi bahri
baat kya banegi
ji bhar ke gaali de to
fir bhi khush rahegi
are luli langdi sath rahegi
luli langdi sath rahegi
na wo ghar se bhag sakegi
kabhi chodegi na wo tumko
ho chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
ho guzratan ya bangalan
ho guzratan ya bangalan
ya madrasan ya panjaban
kaisi bhi chalegi humko
han chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
abhi tak kuware ho kaisa ye kamal hai
han kaisa ye kamal hai
chacha ki na ke piche koi prem jaal hai
han koi prem jaal hai
kya hai pasand meri unko khabar hai
unko khabar hai
kya hai pasand meri, unko khabar hai
banegi na baat meri bas yahi dar hai
are tum kaho to baat bana de
tum kaho to baat bana de
han kaan pakadkar han karba de
zara photo to dikhao humko
ho chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao
gori hogi kali hogi
are gori hogi kali hogi
moti hogi dubli hogi
kaisi bhi chalegi humko
ho chacha chachi le aao
ho ek chaachi le aao
chacha chachi le aao
ho pyari chachi le aao