Lyrics of Chandan Ki Nayyaa Pe Ho Ke Savaar Gori - चंदन की नैया पे हो के सवार गोरी
chandan ki naiyyaa pe ho ke savaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar
chandan ki naiyyaa pe ho ke savaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
dil me umang liye, ankhiyo me rang liye
nainaa jhukaaye chali hai kahaan
haatho me haar le ke, naino me pyaar le ke
gori ke saajan khade hai jahaan
gori ke saajan khade hai jahaan
apane balamvaa ki sun ke pukaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
ho ke savaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
sapano me khoyi khoyi, din ko bhi soyi soyi
raaz na dil kaa bataae sakhi
jiyaa majbur huaa, kuchh to zarur huaa
kaahe ko ham se chhupaae sakhi
kaahe ko ham se chhupaae sakhi
nainaa bhi dur kahi ho gaye chaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
ho ke savaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
dur nagar pi kaa, haal buraa ji kaa
rah-rah ke shor machaaye jiyaa
dur nagar pi kaa, haal buraa ji kaa
rah-rah ke shor machaaye jiyaa
khel nirala khelaa, dil me lagaayaa melaa
pachhatae ab gori yah kyaa kiyaa
pachhatae ab gori yah kyaa kiyaa
hansi-hansi me kaisi ho gayi haar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
ho ke savaar gori
karke singar dekho chali us paar
dekho chali us paar chandan ki naiyyaa pe
I remember, this whole movie was in Geva Color. Where did this blakc and
white print come from?