chaunk kar neend se, uthakar main baith jaata hun

khwaab me jab kabhi, bechain tumko paata hun

tum to kehate the ke, tum khush ho
bichhad kar mujhse
aakhari baar mile the, yahi keh kar mujhse
aaj mehsus hua hain ke galat hain humdam
kya hain sachchai bata do
hain tumhen meri kasam
phir na puchhunga koi, baat kasam khata hun
chaunk kar neend se, uthakar main baith jaata hun
saath beete huye lamho, ki nishani bankar
tum bichhad kar bhi ho, in aankhon me paani bankar
tum zamane ki nigaho me, juda laakh sahin
tum ho samil meri, nas nas me ravaani ban kar
jo haqikat hain mere dil ki, main batata hun
chaunk kar neend se, uthakar main baith jaata hun
baat bigadi huyi chaho to, bana lo phir se
dil ki raaho me nai, shamma jalalo phir se
hum tumhare the tumhare
hain karo mera yakeen
aasmaan chaand sitaare
tumhi ho meri zameen
apni dhadkan me tumhari hi, sadda paata hun
chaunk kar neend se, uthakar main baith jaata hun
khwaab me jab kabhi, bechain tumko paata hun
chaunk kar neend se, uthakar main baith jaata hun
WAHJI WAH Anupji, kya baat hai.