masti ke andaaz me hum
dilo ke gahre raaz me hum
har nagme har saaz me hum
har mithi aawaz me hum
mehfil ki har sham me
har ek jaam me rahte hai
aji puchhiye hum kaun hai
hume ishq kahte hai
aa kaliyo ki shokh jawani me
aur angur ke pani me
har chandni raat suhani me
har dil ki jawa kahani me
nakab me parde me
kabhi chilman me rahte hai
aji puchhiye hum kaun hai
hume husn kahte hai
chilman me rahte hai
chilman se nikal kar samne aa
hum jalwe churane aaye hai
jara dil ki khidki khol
ke tere yaar purane aaye hai
is husn ke chahne wale yaha
kai baar diwane aaye hai
wo khak huye in galiyo me
jo khak udane aaye hai
is husn ke chahne wale yaha
ae laila tere majnu hai hum
koi gair nahi ae shokh hasi
barso se tere dildar hai hum
kya itna tumko yaad nahi
jitne bhi purane kisse hai
kisse hai kisse hai
jitne bhi purane kisse hai
wo yaad dilane aaye hai
jara dil ki khidki khol
ke tere yaar purane aaye hai
chilman se nikal kar samne aa
majnu aur ranjhe bankar tum
na zindagi ko barbaad karo
halat kya huyi thi unki bhala
jara dil ko pakad ke yaad karo
lut jaye khud hi raaho me
raaho me raaho me
o lut jaye khud hi raaho me
jo husn ko pane aaye hai
wo khak huye in galiyo me
jo khak udane aaye hai
is husn ke chahne wale yaha
na katal karo yu aahsiq ko
tum mushkil me pad jaaogi
jab hum na rahe to jawani ke
ye nakhre kise dikhaogi
zid chhod gale lag ja aake
ho zid chhod gale lag ja aake
tumko samjhane aaye hai
jara dil ki khidki khol
ke tere yaar purane aaye hai
chilman se nikal kar samne aa
har aashiq ki guri umar
virano me biyabano me
ya uljhe rahe maikhano me
ya dube rahe paimano me
jab apna kahin bhi thikana nahi
kahan humko le jane aaye hai
wo khak huye in galiyo me
jo khak udane aaye hai
is husn ke chahne wale yaha
itna hai gurur jawani ka
to ek din tum pachhtaogi
agar ishq mukammal hai to mere
kadmo me chalkar aaogi
is ishq me kitni taqat hai
taqat hai taqat hai
is ishq me kitni taqat hai
wo tumko dikhane aaye hai
jara dil ki khidki khol
ke tere yaar purane aaye hai
chilman se nikal kar samne aa
is husm ke raaz bade gahre
kuch aayega tere hath nahi
accha hai bach ke nikal ja tu
ye tere bas ki baat nahi
jal gaye sab husn ki shama pe
shama pe shama pe
jal gaye sab husn ki shama pe
jitne parwane aaye hai
wo khak huye in galiyo me
jo khak udane aaye hai
is husn ke chahne wale yaha
zamane me hai ishq sabse bada
magar husn ke aage ahi ishq kya
yahi hai ibadat yahi hai dua
is husn me hai wafa hi wafa
ke main ishq ko maanta hu khuda
mujhe bhi tu khuda ka jalwa dikha
ek baar tu meri baaho me aa
najar aaye tujhko khuda hi khuda
khuda hi khuda, khuda hi khuda
ek baar tu meri baaho me aa
najar aaye tujhko khuda hi khuda