dard ke phool bhi khilte hai, bikhar jaate hai

zakhm kaise bhi ho, kuch roz mein bhar jaate hai

us dariche mein bhi ab, koi nahi aur hum bhi

sar jhukaye huye chupchap guzar jaate hai
raasta roke khadi hai, yahi uljhan kabse

koi puchhe to kahe kya, ke kidhar jaate hai
zakhm kaise bhi ho, kuch roz mein bhar jaate hai
dard ke phool bhi khilte hai, bikhar jaate hai
naram aawaaz, bhali baate, muhazzab lahje

pahli baarish mein hi, ye rang utar jaate hai
pahli baarish mein hi, ye rang utar jaate hai
dard ke phool bhi khilte hai, bikhar jaate hai
zakhm kaise bhi ho, kuch roz mein bhar jaate hai
dard ke phool bhi khilte hai, bikhar jaate hai
Jagjit jee...I have been grown up with ur magical voice...I have
sensational relation with my incomplete love and your greattttttttt
music... Its like my wound reopen again.. May rest in peace