dekha jabse aapka, chehara ye chand sa
duniya ke sab haseen, nazar se utar gaye
kuchh aur hame yaad nahi aapke siva
bas aap nazar aaye, hame jaha jidhar gaye
dekha hain jabse aapka, chehara ye chand sa
ye shokh sharbati aankhe, ye sangmrmari bahe
balkhake chalo jab yu tum, raahe bhi bhare aahe
ye shokh sharbati aankhe, ye sangmrmari bahe
balkhake chalo jab yu tum, raahe bhi bhare aahe
gujre jidhar se aap, kayamat gujar gayi
jin par padi nigah, wo ja se gujar gayi
kuchh aur hame yaad nahi aapke siva
bas aap nazar aaye, hame jaha jidhar gaye
dekha hain jabse aapka, chehara ye chand sa
julfo ki nashili khusbu, anchal ke gulabi saye
jab rubru ho ye surat, fir kisko hosh rah jaye
julfo ki nashili khusbu, anchal ke gulabi saye
jab rubru ho ye surat, fir kisko hosh rah jaye
sharma ke hanse aap to aalam bahak gaya
mausam ke dil farez najare nikhar gaye
kuchh aur hame yaad nahi aapke siva
bas aap nazar aaye, hame jaha jidhar gaye
dekha hain jabse aapka, chehara ye chand sa
Film cast: Dara Singh Randhawa, Nishi, Jamal, Maruti
Singer: Mahendra Kapoor, Usha Mangeshkar, Geeta Dutt, Suman Kalyanpur
Lyricist: Anjaan, Yogesh Gaud
Music Director: Robin Banerjee
Film Director: Kidar Kapoor