dhanya hua mera aaagan, tere aane se
bhagya mere jage, bhagya mere jage
tere darshan pane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
atithi devo bhava, isthht devo bhava
janam safal tujhe dekh ke mera
hanumat jaisa roop hai tera
jay hanumaan gyan gun sagar
jay kapeesh tihun lok ujagar
ram dut atulit baldhama
anjaniputra pavan sut nama
is ghar aaya jane kiske bulane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
om namo naranayay krishsupriya namustute
jay dharnidhar sheshnaag
atithi mere ghar sheshnaag
shesh hogi badha tera bacha kuchha khane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
garunaj abhinandan, narayan ke vahan
bhoj hua amrit tere bhog lagane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
nandi tere darshan pyare tu rahta hai shiv ke dware
milta hai raah me tu tirupati jane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
namoh devrishi hari ke pyare
param kripa kar yahan padhare
shri narayan shri narayan karte ho nishdin parayan
vramgyan jage bramgyan jage
tere veena ke bajane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
neera devi nirgirivasini, aaj padhari ban sanyashini
bala ji se jakar kahna apne bhkt se dur na rahna
puri kare asha prabhu, puri kare asha ke istht tujhko chadane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
o devi
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
jagan mata namah, annyapurna namah
maa tere vardaan se, bach gayi mai apmaan se
ghata nhi bhojan sare, gaav ko khilana se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se
mujh dukhiya ke dware, karke kripa padhare
rinn atithiyo ka chukega chukane se
atithi devo bhava atithi devo bhava
bigda hua har kaam bna hai, yeh ghar tirath dham bna hai
shani dasha jaye shani brth ke nibhane se
dhanya hua mera aaagan, tere aane se