dharti mata ban ke sahara manjil meri bata dena
mil na sake jo manjil merigod me mujhe sula lena
jaye kaha ye piya ki joganiya
jaye kaha ye piya ki joganiya
apne dulha ki ye anokhi re dulhaniya
jaye kaha ye piya ki joganiya
takdir ne ki ye kaisi thitholi
takdir ne ki ye kaisi thitholi
dulhan ke hatho me dulha ki doli
chali re chali re dekho pi ki sajaniya
jaye kaha ye piya ki joganiya
apne dulha ki ye anokhi re dulhaniya
jaye kaha ye piya ki joganiya
daya karo hey gagan devta kyu agni barsai
jale hue ko aur jala ke ye kaisi nithurai
kaha chhupe ho nil gagan ke kale badal aao
mere piya ki pyas bhujao
amrit jal barsao ghumad ghumad kar aao
amrit jal barsao ghumad ghumad kar aao
jaye kaha ye piya ki joganiya
jaye kaha ye piya ki joganiya
apne dulha ki ye anokhi re dulhaniya
jaye kaha ye piya ki joganiya
chhaya kaisa ghor andhera isko parbhu mitao
kan kan me pate pate me apna taiz dikhao
chanda chamko taro chamko jugnu damak dikhao
bina tel bati ke jag me jagmag jyoti jagao
jagmag jyoti jagao jagmag jyoti jagao
jaye kaha ye piya ki joganiya