dhudh rahe hai mere liye ladka mere ghar vale
are kitne ladke dekhe lambe gore thigne kaale
ek ladke ne pucha kya kuch nachna gana ata hai
maine kaha ata hai kya tujhe tabala bajana ata hai
bhai vah kya kahne kya javab mara hai
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
kuch mat pucho tauba hai bas in ladko ki mago se
udate hai ye pakh laga kar chalate nahi ye tago se
ek ladake ne kaha mujhe ye mera ghar bar sambhalegi
maine kaha na mere bachche teri amma palegi
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
fir ik ladka mila mujhe jo shehar me sabse lamba tha
beech shehar me khada ho jaise bijli ka khamba tha
us lambe ne pucha mujhse tu kaise gale lagayegi
maine kaha toham na kar seedhi se kaam chalayegi
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
kaale or kalute bhi to gore rang pe marte hai
ganje lambi zulfo wali biwi dhundha karte hai
ik ganje ne kaha muje mai aashiq tere baalo pe
maine kaha laanat hai tere jaise chahne walo pe
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
phir ik ladka aya jiska kad mujhse bhi chota tha
darvaze ke bich phas gaya tauba kitana mota tha
us mote ne puchha tujhe ghode ki savari ati hai
maine kaha ati hai par tu ghoda hai ki hathi hai
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
ye sun ke vo nind se jaag gaya maidan chhod ke bhag gaya
ragamahal me soti thi mai yauvan ki ragaraliyo me
dur se ik din ik paradesi aya meri galiyo me
us zulmi ne itana kaha kar meri zid ko tod diya
na kar han kar teri marzi tere liye jag chhod diya
ye sun ke vo nind se jaag gayi maisaath piya ke bhag gaya
ye sun ke vo nind se jaag gayi maisaath piya ke bhag gaya