dil aise na samajhna ke tu hai akela
mushkil mod sahi
hum rahe the kabhi na kabhi yahan par
thodi der aur sahi
is pal aaye hai, phir kab jayenge
kahne sunne aaye the, samjh ke janyenge
mera na koi hai pata is jagah par
yun to hai mera ye jahan
laya kya maine kahun, kab mera hai yahan par
shayad ho pahle se basta basa sab yahan
abar bhi thahra hai abhi kehkasha par
khila hai dekho yahan wahan
mil ke barasta ye chala hai jahan par
isi ki marzi hai ho tum aur hum bhi yahan
jab nahi tha jahan, tab se hi koi yahan
to dil kyun na mil ke rahe
waqt rahe na sada, yun guzar jayega
dil ek saye mein mil
rah jayengi yaade, do baate jab
chala jayega, chala jayega
sunne wale ne kahne wale ko
wo baate sunaai samjhne walo ko
taare bhi kaise timtimate raato mein
koi na tanha hai wahan
chale hi jaate hai ye dil ko lubha ke
inhe ke jaate hi aaye savera yahan
dil aise na samajhna ke tu hai akela
mushkil mod sahi
Taare bhi kaise tim timate raaton me... Koi na tanhaa hai wahan... Chale hi
jaate hain ye dil ko lubha ke... Inhi ke jaate hi, aaye savera yahan!!!
Awesome, Lucky sahab. And Syed Aslam sahab who wrote the lyrics