dil dhadkne ka sabab yaad aaya
dil dhadkne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi
wo teri yaad thi, ab yaad aaya
dil dhadkne ka sabab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna ae dost
aaj mushkil tha sambhalna ae dost
tu musibat me ajab yaad aaya
tu musibat me ajab yaad aaya
haal-e-dil ham bhi sunaate lekin
haal-e-dil ham bhi sunaate lekin
jab wo rukhsat hue tab yaad aaya
jab wo rukhsat hue tab yaad aaya
din gujara tha badi mushkil se
din gujara tha badi mushkil se
fir tera wada-e-shab yaad aaya
fir tera wada-e-shab yaad aaya
baith kar saya-e-gul me naasir
baith kar saya-e-gul me naasir
ham bahut roye wo jab yaad aaya
ham bahut roye wo jab yaad aaya
wo teri yaad thi
wo teri yaad thi, ab yaad aaya
dil dhadkne ka sabab yaad aaya
Thank you very much for sharing brother. Just had a question- Who sang this
GHAZAL for the first time, with this composition?