dil hai ye tera dil tu liye ja
zulfo ke saye me do din jiye ja
dil hai ye tera dil tu liye ja
zulfo ke saye me do din jiye ja
dil hai ye tera
ulfat ki dil me amanat rahegi
jab tak hu me ye salamat rahegi
ulfat ki dil me amanat rahegi
jab tak hu me ye salamat rahegi
bhulu na aisi nishani diye ja
bhulu na aisi nishani diye ja
dil hai ye tera dil tu liye ja
zulfo ke saye me do din jiye ja
dil hai ye tera
agar aasma ne tujhe ho sataya
haazir hai ye mere daman ka saya
agar aasma ne tujhe ho sataya
haazir hai ye mere daman ka saya
daman se kaam aasma ka liye ja
daman se kaam aasma ka liye ja
dil hai ye tera dil tu liye ja
zulfo ke saye me do din jiye ja
dil hai ye tera
tu jo humara zamana humara
aankho hi aankho me kar de ishara
tu jo humara zamana humara
aankho hi aankho me kar de ishara
nazro hi nazro me jaam piye ja
nazro hi nazro me jaam piye ja
dil hai ye tera dil tu liye ja
zulfo ke saye me do din jiye ja
dil hai ye tera