dil nange pair jaise, kircho pe chal raha hain

ek dard ka samundar, jaise ubal raha hain

ho dil nange pair jaise, kircho pe chal raha hain
lamhon ke chehre kitane, pile se pad gaye
ehsaas ke badan me, sau tir gadh gaye hain

maayusiyo ki aandhi
maayusiyo ki aandhi, saanso me chal rahi hain
ummid ke jo ghar the, saare ujad gaye hain
saare ujad gaye hain
ek aag hain ki jisme, jo kuchh hain jal raha hai
ek aag hain ki jisme, jo kuchh hain jal raha hai
dil nange pair jaise, kircho pe chal raha hain
aasaan the jo raste, won sare kho gaye hain
kuchh log jaate jaate, kante so bo gaye hain
sab doston ki aankhe
sab doston ki aankhe, patthar ki ho gayi hain
sab ajanbi hain jaise, sab gair ho gaye hain
sab gair ho gaye hain
tanhaai ka andhera, nas nas me dhal raha hain
o tanhaai ka andhera, nas nas me dhal raha hain
dil nange pair jaise, kircho pe chal raha hain
dil nange pair jaise, kircho pe chal raha hain
ek dard ka samundar, jaise ubal raha hain
dil nange pair jaise, kircho pe chal raha hain
searched for this song for so long...Javed Akhtar at his best...