Lyrics of Din Raat Badalte Hai, Halat Badalte Hai - दिन रात बदलते हैं हालात बदलते हैं
din raat badalte hain, halaat badalte hain
saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain, halaat badalte hain
saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain
kabhi hamesha dhoop rahi na, sada rahi kabhi chhaaw
ek jagah par kabhi ruke na waqt ke chalte paanv
baske ujadte ujadke baste dekhen kitne gaon
are din raat badalte hain, halaat badalte hain
saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain
beet hi jaayegi patjhad, phir aayegi hariyaali
aaj hai jo daali sooni kal hogi phoolon waali
kaun chandaniya ko puchhe jo na ho ratiyaan kaali
are din raat badalte hain, halaat badalte hain
saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain
ye jeewan ek bahti nadiya, dukh sukh iske rele
phool ki aasha karnewaale, pahle kaante le le
kya jaane wo khushi ki keemat, jo na dard se khele
are din raat badalte hain, halaat badalte hain
saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain
ho din raat badalte hain
Precious And Masterpiece**Powerful True Lyrics Transformed Into A Beautiful
Song din raat badalte hain, halat badalte hai..By Hemant Kumar, Reveals The
Practical Wisdom That Comes Through Day & Night In And Out, Time, The Wacky
& The Wonderful, Sadness And The Sorrows Of Real Life And On Beyond*This
Song Articulates A Spectacular Understanding Of Pain And Recovery**It
Flared Up My Mind And Made Me Sad With Some Old Memories**BharatDesai ji,
Thanks For Posting & Sharing Timeless Gem.