oo doli uthegi aaj teri behna
chalkenge haye nain humare
doli uthegi aaj teri behna
chalkenge haye nain humare
o bhaiya chup chup roye
maiya chhup chhup roye
aansu behte hai jaise nadiya ke dhare
doli uthegi aaj teri behna
chalkenge haye nain humare
pehle dil ka khun pilakar
ghar me beti palo
pehle dil ka khun pilakar
ghar me beti palo
phir ye dil ka tukda khud hi
gair ki jholi dalo
rabba teri duhai
kaisi reet banai
sabki palko se tute aaj sitare
doli uthegi aaj teri behna
dholak baje angana me
darwaje per sahnai
dholak baje angana me
darwaje per sahnai
babul ka ghar chhod ke jana hoga
ghadi wo aayi
o tera bhai ye sada
tujhe deta hai dua
unche aur bhi ho tere mahal chubare
doli uthegi aaj teri behna
jate jate behan ko bole
bhaiya gale laga ke
jate jate behan ko bole
bhaiya gale laga ke
saas sasur ki sewa karna
saajan ke ghar ja ke
sabko apna banana
sabse pyar nibhana
aise rehna ke har koi aarti uthare
doli uthegi aaj teri behna
chalkenge haye nain humare
o bhaiya chup chup roye
maiya chhup chhup roye
aansu behte hai jaise nadiya ke dhare
doli uthegi aaj teri behna
@mohdazizsongs1 Very beautiful bidaai song of Aziz ji. He is very good in
singing sad songs. thanks for sharing. bye Raj