jab se asli rup sabka
jab se asli rup sabka maine dekha hain
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
dosto se na milo
dosto se na milo taklif hoti hai
fayada hai pith me khanjar nahi lagta
fayada hai pith me khanjar nahi lagta
ha fayada hai pith me khanjar nahi lagta
fayada hai pith me khanjar nahi lagta
jab se asli rup sabka
inke chehre par lage rehte hai sau nakab
hum bhi samajh paye nahi kaante hai ya gulab
ha inke chehre par lage rehte hai sau nakab
hum bhi samajh paye nahi kaante hai ya gulab
har kadam par yaad inke aate hai sitam
likhne baitho to banegi
in par ek kitab, in par ek kitab
yaron ne jo bheje hain, yaron ne jo bheje hain
wo phul chubhte hain
gair ka phenka hua patthar nahi lagta
gair ka phenka hua patthar nahi lagta
jab se asli rup sabka
pehle to har raaz me hote hai ye shamil
dost ko gumrah karke todte hai dil
pehle to har raaz me hote hai ye shamil
dost ko gumrah karke todte hai dil
phir sitam ye hai ke hamdardi bhi karte hai
waar wo karte hai jo kar paye na kaatil
kar paye na kaatil
doston ke naam se, doston ke naam se
ham kaanp jate hain
dushmano ki dushmani se darr nahi lagta
dushmano ki dushmani se darr nahi lagta
jab se asli rup sabka
apne matlab ke siwa karte nahi ye baat
naapte hai paiso se ye yaar ke halaat
o apne matlab ke siwa karte nahi ye baat
naapte hai paiso se ye yaar ke halaat
inka kaam nikal jaye to ho jate hai dur
kaise janenge bhala ye auro ke jajbaat
auro ke jajbaat
kya kare hum dekhkar, kya kare hum dekhkar
duniya ki dilkashi
ab suhana koyi bhi manjar nahi lagta
ab suhana koyi bhi manjar nahi lagta
jab se asli rup sabka
jab se asli rup sabka maine dekha hain
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
doston se na milo
doston se na milo taklif hoti hai
fayada hai pith me khanjar nahi lagta
fayada hai pith me khanjar nahi lagta
are fayada hai pith me khanjar nahi lagta
fayada hai pith me khanjar nahi lagta