ye mahfil ka takaaja hai
ijajat ho to hum gaaye
naa chaaho tum to chupke se
dua dekar chale jaaye
naa chaaho tum to chupke se
dua dekar chale jaaye
kahi aisa nahi hota
koi aisa nahi karta
kisi mehmaan ko aise
koi rushwa nahi karta
bahut mushkil hai samjhaana
kisi ko kaise samjhaaye
bahut mushkil hai samjhaana
kisi ko kaise samjhaaye
naa chaaho tum to chupke se
dua dekar chale jaaye
tumhaara naam lete hai
mere seene ki har dhadkan
kise maalum tha tum hi
jhatak doge mera daaman
kaha jaaye kise jaakar
ye dil ka jakhm dikhlaaye
kaha jaaye kise jaakar
ye dil ka jakhm dikhlaaye
naa chaaho tum to chupke se
duaa dekar chale jaaye
jo rishta kar liya kaayam
wo rishta hum nibhaayenge
najar se door rahkar bhi
hamesha tumko chaahenge
humaara kya tumhaare dil ki
sab ummid bhar aaye
humaara kya tumhaare dil ki
sab ummid bhar aaye
ye mahfil ka takaaja hai
ijajat ho to hum gaaye
naa chaaho tum to chupke se
dua dekar chale jaaye
dua dekar chale jaaye
dua dekar chale jaaye