dua samajh lo ya isko gaali
dua samajh lo ya isko gaali
chaman ka dushman bana hai maali
chaman ka dushman bana hai maali
dua samajh lo ya isko gaali
chaman ka dushman bana hai maali
chaman ka dushman bana hai maali
kisi pe humne yakin kar ke
bana liya raajdaar dil ka
kisi pe humne yakin kar ke
bana liya raajdaar dil ka
usi ne chhina sukun dil ka
chain dil ka, karaar dil ka
chain dil ka, karaar dil ka
ab aise insaan ko kahiyega kya
ab aise insaan ko kahiyega kya
tumhi batao janabe aali
chaman ka dushman bana hai maali
bikhar gaye hai vo khwaab sare
jo humne pal pal sajaaye dekhe
bikhar gaye hai vo khwaab sare
jo humne pal pal sajaaye dekhe
meri khushi ki jala ke holi
kisi sitamgar ne hath senke
kisi sitamgar ne hath senke
samajh rahe the jise khara hum
samajh rahe the jise khara hum
vo nikla khota, vo nikla jaali
chaman ka dushman bana hai maali
bujhaai sholo se pyaas apni
to jurm maine kya kar diya hai
bujhaai sholo se pyaas apni
to jurm maine kya kar diya hai
ha maine pi hai sharaab pi hai
lahu kisi ka nahi piya hai
lahu kisi ka nahi piya hai
yahan to logo ne katal kar ke
yahan to logo ne katal kar ke
sacchai apno se bhi chhupa li
chaman ka dushman bana hai maali
dua samajh lo ya isko gaali
chaman ka dushman bana hai maali
chaman ka dushman bana hai maali