bhgwan bhagwan bhgwan bhagwan
o duniya ke rakhwale
sun dard bhare mere naal
sun dard bhare mere naal
o duniya ke rakhwale
sun dard bhare mere naal
sun dard bhare mere naal
aas nirash ke do rango se
duniya tune sajaai
naiya ke sang tufan banaya
milan ke sath judaai
ja dekh liya harjaai
o lut gayi mere pyar ki nagri
ab to neer baha le
ab to neer baha le
o ab to neer baha le
o duniya ke rakhwale
sun dard bhare mere naal
sun dard bhare mere naal
aang bani sawan ki barkha
phul bane angare
naagan ban gayi raat suhani
pathar ban gaye tare
sab tut chuke hai sahare
jeevan apna wapas le le
jeevan dene wale
o duniya ke rakhwale
chand ko dhundhe pagal suraj
shyam ko dhundhe sawera
main bhi dhundhu us pritam ko
ho na saka jo mera
bhagwan bhala ho tera
o kismat phuti aas na tuti
paanw main pad gaye chhale
o duniya ke rakhwale
mahal udaas or galiya suni
chup chup hai diware
dil kya ujda duniya ujdi
ruth gayi hai baahre
hum jeevan kaise gujare
o mandir girta phir ban jata
dil ko kaun sambhale
duniya ke rakhwale
sun dard bhare mere naal
sun dard bhare mere naal
o duniya ke rakhwale
rakhwale rakhwale rakhwale
rakhwale
rakhwale
rakhwale