duniya kisi ko haye, majbur na kare
bachapan me maa baap kabhi dur na kare
nanahi si jaan bekasur, majbur uska haal
wo saans ek charo or laakh laakh jaaye
buri nigah zamane ki aur meri jawani
buri nigah zamane ki aur meri jawani
ab thamo jigar aur suno meri kahani
ab thamo jigar aur suno meri kahani
kirdaar naya, ruh nayi, saaz naye the
sangeet naye, geet naye, pyar naye the
kirdaar naya, ruh nayi, saaz naye the
sangeet naye, geet naye, pyar naye the
naach uthte sun mera jadu tarana
naach uthte sun mera jadu tarana
mutthi me liye baihti thi, main sara zamana
mutthi me liye baihti thi, main sara zamana
din the mere khushiyon bhare
din the mere khushiyon bhare, raat suhaani
ab thamo jigar aur suno meri kahani
kaun aaya zindagi me, jivan badal gaya
kaun aaya zindagi me, jivan badal gaya
betaab na tha chaand
betaab na tha chaand, pal bhar me dhal gaya
koi use bataaye ki, ab main kya karun
koi use bataaye ki, ab main kya karun
bhadkegi aag dil me
bhadkegi aag dil me, kyu kar mana karu
ab kasie thame haye
ab kasie thame haye, ashqo ki rawaani
ye dard bhari ranj bhari meri kahani
ye dard bhari ranj bhari meri kahani
uploader DrSandeepRai says in his upload of the same song on Mar 20, 2012 :
Film - Raunaq-1944. Singer - Hamida Bano. Music - C.Ramchander. Lyricist -
Ishwar Chander Kapoor.