duniya parai log yaha begane
dil par jo biti wo dil hi jane
apne desh me hum hai pardesi
koi na pahchane
duniya parayi log yaha begane
dil par jo bite wo dil hi jane
kaisa gham hai kya majburi hai
kaisa gham hai kya majburi hai
paas hai jo unse bhi duri hai
dil yu tadape jaise
koi gunga bolna chahe
lekin sab hai anjane
apne desh me hum hai pardesi
koi na pahchane
duniya parayi log yaha begane
dil par jo bite wo dil hi jane
koi bata de hum kyu jinda hai
koi bata de hum kyu jinda hai
hum kyu khud se bhi sharminda hai
apni hi aankho se gire hai
banke hum ek aansu
mane koi ya nahi mane
apne hi desh me hum hai pardesi
koi na pahchane
duniya parai log yaha begane
dil par jo bite wo dil hi jane
apne hi desh me hum hai pardesi
koi na pahchane
koi to jine ka bahana ho
koi to jine ka bahana ho
koi wada ho jo nibhana ho
koi safar koi to rasta
koi to manzil ho
sunle aye dil diwane
apne desh me hum hai pardesi
koi na pahchane
duniya parai log yaha begane
dil par jo bite wo dil hi jane
socha hai ab dur chale jaye
socha hai ab dur chale jaye
apne sapno ki duniya paye
us duniya me pyar ke phul
aur khushiyo ke moti hai
jo na diye is duniya ne
apne hi desh me hum hai pardesi
koi na pahchane
duniya parai log yaha begane
dil par jo bite wo dil hi jane
apne hi desh me hum hai pardesi
koi na pahchane