duniya waalo
aao tumhe is duniya ki tasvir dikhaaye
kaise bani aur kaise bigdi
aurat ki takdir dikhaye
duniya waalo, duniya waalo
kuch din pahle ye aurat bhi thi
kisi ke dil ki raani thi
bachpan tha rangin
jawani pyar se bhari kahani thi
aaj na jaane kis majburi se faansi pe latki hai
kisi ne ispe julm kiya hai
tabhi to raah se bhatki hai
aurat jo kamjor bhi hai
majbur bhi hai, bechari
duniya waalo, duniya waalo
ye bhi ek aurat hai jisne acche
ghr me janam liya
baithi hai bajaar me isne aisa
kaun sa karam kiya
dharam ke thekedaaro ne hi bikne
par majbur kiya
jisne pyar diya isne
usi ne dil ko chur kiya
aurat jo kamjor bhi hai
majbur bhi hai, bechari
duniya waalo, duniya waalo
jaane kitne araama le ke
ye sasuraal me aai thi
pyaar mohabbat aur wafa ki
daulat hi sang laai thi
iska dosh garibi hai
jo sabne ise dhutkara hai
aaj isi ke pati ne isko
maut ke ghaat utara hai
aurat jo kamjor bhi hai
majbur bhi hai, bechari
duniya waalo, duniya waalo
aao tumhe is duniya ki tasvir dikhaaye
kaise bani aur kaise bigdi
aurat ki takdir dikhaye
duniya waalo, duniya waalo
duniya waalo, duniya waalo