Lyrics of Duniyaa Banaane Vaale, Kyaa Tere Man Men Samaai - दुनिया बनाने वाले क्या तेरे मन में समाई
duniya banane vale kya tere man me samayi
kahe ko duniya banayi
tune kahe ko duniya banayi
duniya banane vale kya tere man me samayi
kahe ko duniya banayi
tune kahe ko duniya banayi
kahe banae tune mati ke putale
dharati ye pyari pyari mukhde ye ujale
kahe banaya tune duniya ka khela
kahe banaya tune duniya ka khela
jisame lagaya javani ka mela
gup-chup tamasha dekhe vah re teri khudayi
kaheko duniya banayi tune
kahe ko duniya banayi duniya banane vale kya tere man me samayi
kahe ko duniya banayi tune
kahe ko duniya banayi
tu bhi to tadpa hoga man ko banakar
tufa ye pyar ka man me chhupakar
koi chhavi to hogi ankho me teri
koi chhavi to hogi ankho me teri
aansu bhi chhalke honge palko se teri
bol kya sujhi tujhko kahe ko prit jagayi
kahe ko duniya banayi tune kahe ko duniya banai
duniya banane vale kya tere man me samayi
kahe ko duniya banayi tune
kahe ko duniya banayi
prit banake tune jina sikhaya hasana sikhaya
rona sikhaya
jivan ke path par mit milaye
jivan ke path par mit milaye
mit milake tune sapne jagae
sapne jagake tune kahe ko de di judayi
kahe ko duniya banayi tune
kaahe ko duniya banayi
duniya banane vale kya tere man me samayi
kahe ko duniya banayi tune
kahe ko duniya banayi
music and meloies started dying since early 1970s as commercialization and mafia money entered Indian Cinema heavily. And the song of last years are absolutely anything BUT MUSIC.