dur desh ka raja ek din desh paraye aaya
naino ki muskan me apni prem sandesha laya
dur desh me rahti thi ek kanchan rajkumari
jaise chand poonam ka chamke waisi
sundar nari
jab nain se nain mile jab nain se nain mile
umange nach uthi man me tarange
jaag uthi tan me
jab nain se nain mile jab nain se nain mile
umange nach uthi man me tarange
jaag uthi tan me
kaise sundar sapne suhane nainan bich samaye
kaise sundar sapne suhane nainan bich samaye
aashao ka laga hai mela
aashao ka laga hai mela man ki murli gaaye
has has ke phul khile has has ke phul khile
umange nach uthi man me tarange
jaag uthi tan me
jab nain se nain mile jab nain se nain mile
umange nach uthi man me tarange
jaag uthi tan me
man me aan basi wo ankhiyaa
man ka kamal khila ke
man me aan basi wo ankhiyaa
man ka kamal khila ke
nas nas me muskan basi ho
nas nas me muskan basi ho
jiwan jyot jaga ke
lahrati pawan chale lahrati pawan chale
umange nach uthi man me tarange
jaag uthi tan me
jab nain se nain mile jab nain se nain mile
umange nach uthi man me tarange
jaag uthi tan me
FILM: "VEER BABRUVAHAN" = 1950.
DIRECTOR: Danabhai Bhatt.
CAST: Mridula, S. N. Tripathi, Amarnath, Shashi Kapoor (senior), Umakant,
Jankidas, B. M. Vyas.
LYRICS: Anjum Jaipuri.
Music: Chitragupt.