ek bholi bhaali gaanv ki rani
jiski kahani, aao sunaye, suno
ek bholi bhaali gaanv ki rani
jiski kahani, aao sunaye, suno
pake dhaan ka khet khada
bal kha kha ke lahraye
odh chunariya hariyaali ki
dharti hai muskaaye
waha bani ek sundar kutiya
mahalo ko sharmaye
usme rahti ek matawali, sundar rani
uski kahani, aayo sunaye, suno
kutiya hi sabkuch hai uski
kutiya ki sabkuch hai wo
aate jaate raahi paate
aage badhne ki himmat ko
gaanv ki rani, piya ke path mein
baith bichhaye aankhon ko
saanjh deep ne mila diye
aur dekh raha is madhur milan ko
aisi gaanv ki rani
jiski kahani, aao sunaye, suno
nind pari ke jaadu ne jab
luta diye sapne anmol
lagi lutne saari duniya
apni man masti mein dol
nind pari ke jaadu ne jab
luta diye sapne anmol
lagi lutne saari duniya
apni man masti mein dol
par haye vidhaata rup badal kar
gaanv ke aangan aayi
bhole bhaale mukhde dekhe
apne aap se wo sharmayi
par haye vidhaata rup badal kar
gaanv ke aangan aayi
bhole bhaale mukhde dekhe
apne aap se wo sharmayi
jo kuch karna tha, karna
aur chilla uthi jaag re duniya
kaal pad gaya kaal, kaal pad gaya kaal
kaal pad gaya kaal
ek bholi bhaali gaanv ki rani
jiski kahani, aao sunaye, suno
ek bholi bhaali gaanv ki rani
jiski kahani, aao sunaye, suno
par haye vidhaata rup badal kar
gaanv ke aangan aayi
bhole bhaale mukhde dekhe
apne aap se wo sharmayi
jo kuch karna tha, karna
aur chilla uthi jaag re duniya
kaal pad gaya kaal, kaal pad gaya kaal
kaal pad gaya kaal
daakan, jogan aayi pishachan
chhayi ghataye kaali kaali re
maut ke saaz pe pralay raagini
baaj rahi matawali re
mila khak mein gaanv salona
gham ne manayi diwaali re
shanti gayi ,sukh chain gaya
sone se bhare, wo khet gaya
daakan, jogan aayi pishachan
chhayi ghataye kaali kaali re
kahan gayi, wo saanjh suhaani
kahan panchhiyo ka gaana
kahan gaya, wo madhur milan
aur kahan khushi se bhara zamana
kyun uge ho ab tum chaand salone
kya lene ab aaye sitaare
chale gaye wo chhod ke duniya
jinko the tum bade hi pyaare
har gaanv ki tuti diware
kahti hain aaj kahani
meri god mein bani samadhi
kitni kutiya, kitni rani
is the composition by Salil Chowdhury