ik baramhahn ne kaha hai ke ye saal acha hai
ik baramhahn ne kaha hai ke ye saal acha hai
zulm ki raat bahut jald dhalegi ab to
aag chulho me har ek roz jalegi ab to
bhukh ke maare koi bachcha nahi royega
chain ki neend har ik shakhs yahan soyega
aandhi nafrat ki chalegi na kahin abki baras
pyaar ki fasl ugaayegi zamin abki baras
hai yakin ab na koi shor-sharaaba hoga
zulm hoga na kahin khun-kharaba hoga
osh aur dhup ke sadme na sahega koi
ab mere desh me be-ghar na rahega koi
naye waadon ka jo daala hai wo jaal achcha hai
rehnumao ne kaha hai ke ye saal achcha hai
dil ke khush rakhne me gaalib ye khayal achha hai
dil ke khush rakhne me gaalib ye khayal achha hai
dil ke khush rakhne me gaalib ye khayal achha hai
No problem. I think you have talent and should take your work more
seriously. Jagjit Singh's voice is very powerful. Combined with good lyrics
and music it makes a big impact. You can combine the song, music and the
lyrics with visuals and create a mind-blowing experience that can really
inspire people.