ek din aisa huaa, jo ki hona tha
aaya tere jaha me main
par mujhe naa aana tha
marji meri nahi thi, na hi mera tha khyaal
apne hone pe khud se, karta hu main savaal
bahalaya pahale ye chaand ne
suraj ne bhi fir mujhe, aise hi lalchaya
taare bhi chamk ke so gye
jal jal ke koi bhi, naa ye dil bahla saka
dil ye masoom hain par itna bhi nahi
chaand suraj sitaron se bhi rahana nahi
roshan hain tujhse yah sab par, yah tu hain nahi
in sab se main khela, magar maine man ye sanam nahi
teri hi vafa me, ham aag se khele
sehara bhi paya hamne ye dariya chir ke
ek teri hi khushi hi me, ham kaha gujar gaye
are kaun si dagar hain aur kitne faasle
teri jagah vahi pe hain na
jaha pe dil ko khyaal bahlaate hain
nigahon me tu hi to hain naa
pukaar sun le meri ae jaana
anjane sare yaha, kab tak main sahun
jine ki khatir dil badle to main kuchh kahun
sunane ko raji ho to, main unke saath rahun
har ek chamak ke pichhe, naa daude to main sang chalu
ye badle har pal chehar naya
aaiyaari me dekho kaise jhumta jahan
darbadar bhatakte yaha waha
manjil hain kahin pe, aur ye chal diya kahan
waqt nahi payega tu, fat jayegi jamin
kabhi na kabhi ye samjhega, tu mujhko hain yakin
sachchai se aankhe firana teri fitrat hain
maine to vahi kaha jo, kahna maksad hain
duniya to duniya hain, duniya ki kimat nahi
surat teri achhi hain par sirat hain nahi
jine ko to chhupaye bhi jite hain magar
insaan hain tu khud apni naa, karta hain kadar
jina jina jina jina jina jina
jina jina jina jina jina jina
jina jina jina jina jina jina
jina jina jina jina jina jina
One of the greatest song ever written composed or sung. lucky hats off
no one competes you