ek nagma ek tara
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
ae gam-e-daura gam-e-daura tujhe mera salaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
julf aawara gareba chak ghabrai najar
julf aawara gareba chak ghabrai najar
in dino ye hai jahan me zindgani ka nizaam
in dino ye hai jahan me zindgani ka nizaam
ae gam-e-daura gam-e-daura tujhe mera salaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
chand taare tut kar daman me mere aa gire

maine puchha tha sitaro se tere gam ka makam
maine puchha tha sitaro se tere gam ka makam
ae gam-e-daura gam-e-daura tujhe mera salaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
pad gayi pairahane subah-e-chaman par salwate

yaad aa kar rah gayi hai bekhudi ki ek sham
yaad aa kar rah gayi hai bekhudi ki ek sham
ae gam-e-daura gam-e-daura tujhe mera salaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
teri ismat ho ke ho mere hunar ki chandni

waqt ke bazaar me har chiz ke lagte hai daam
waqt ke bazaar me har chiz ke lagte hai daam
ae gam-e-daura gam-e-daura tujhe mera salaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
ae gam-e-daura gam-e-daura tujhe mera salaam
ek nagma ek tara, ek guncha ek jaam
Its a great ghazal from Album 'Nagma E Dil', I searched this ghazal for 15
years, & finally found it here. thanx dear for uploading such a
marvelous masterpiece by the Legend Ghulam Ali Saheb...