ek pal dhup hai ek pal hai dhua
ek pal mein hawa ek pal ka jahan
ek pal saans hai ek pal hai jalan
ek pal mein laga chaar pal ka jatan
zara zara mutti khuli mutti khuli
zara zara zara zara zara
aankhein khuli aankhein khuli
zara
duniya ko sapna kahta hai ye
saanson ko apna kahta hai ye
shehar aur jungle ko bhool ke
khud mein hi chhup ke rehta hai
ek pal yaad hai ek pal hai safar
ek pal mein khatam saans ka ye safar
ek pal neend hai ek pal hai bhram
ek pal kar gaya chahaton ko garam
zara zara mutti khuli mutti khuli
zara zara zara zara zara
aankhein khuli aankhein khuli
zara..
duniya ko sapna kahta hai ye
saanson ko apna kahta hai ye
shehar aur jungle ko bhool ke
khud mein hi chhup ke rahta hai ye
wo pal kahan se laaye
wo pal kahan se laaye
khyaalo mein
sab dushmani bhul jaye
wo pal kaha
makdi ke jaalo ne jisko fasaya hai
khoya hai khoya hai khoya hai jo
khaya hai khaya hai khaya hai jo
duniya ko sapna kahta hai ye
saanson ko apna kahta hai ye
shehar aur jungle ko bhul ke
khud mein hi chhup ke rahta hai ye