ek zindgi armaan bhari
haar kar bhi mukddar se ladti rahi
jaise kahi raakh ke dher me koi chingari
ghut ghut ke jalti rahi
ek zindgi armaan bhari
uski sanse thi dil ki jalan ka dhua
par na jana kisi ne use kya hua
usne gairo ko sau sukh ka jivan diya
zindgi ke liye khud tarasti rahi
ek zindgi armaan bhari
apne jivan ko usne aise jiya
jal raha ho kahi aandhiyo me diya
gam ke jhonkho se kuch ladkhdai to thi
par ruki na lagatar chalti rahi
ek zindgi armaan bhari
pyar paya magar raas aaya nahi
unko shayad kisi ki nazar lag gai
zindgi apne bojhe se tuti thaki
kaun khota khara hai prakhti rahi
ek zindgi armaan bhari
pyar ke par nikal aaye udene laga
roop yovan bhi ab to machalne laga
josh me sath rahne ki kha li kasam
magar ek chubhan dil me chubhti rahi
ek zindgi armaan bhari
dasta khat hoti si aai nazar
par ab hua hai shuru zindgi ka safar
ab ye raahe kaha le chali hain mujhe
rasto se yahi prashn karti rahi
rasto se yahi prashn karti rahi
mujhe le chali hai kaha
mujhe le chali hai kaha
mujhe le chali hai kaha
mujhe le chali hai kaha