gale me laal tie ghar me ek charpai
takiya ek aur hum do ek hi hai rajai
shardi kaise jayegi kaho kaise hume nind aayegi
shardi kaise jayegi kaho kaise hume nind aayegi
gale me laal tie ghar me ek charpai
takiye ki fikar na kar banuga main khud rajai
gale se laga lunga hontho se coffi pila dunga
are gale se laga lunga hontho se coffi pila dunga
sari duniya chain se soye hum dono bato me khoye
tumse main darti hu koi harkat na karo
ek hai shart meri tum shararat na karo
aaye pasina kyu aa gya hai hum dam
to kuch socho tum na to kuch soche hum
lagi charpai me kahi ek khatmal hai
tang mujhe karta hai tan me khalbal hai
dushman khatmal ko tujhse mohabbat hai
jaha chahe ghumega haye kya kismat hai
abhi use dhundh kar main tagadi saja dunga
abhi use dhundh kar main tagadi saja dunga
gale me laal tie ghar me ek charpai
takiya ek aur hum do ek hi hai rajai
shardi kaise jayegi kaho kaise hume nind aayegi
are gale se laga lunga hontho se coffi pila dunga
khidki ke main parde gira du
tum kah do to batti bujha du
are baba na re na batti na bujha dena
wakt ka pata nahi kuch na ho jaye kahi
khata hu sar ki kasam jara na chhedunga
sharafat ke liye ek chhuma lunga
haye kismat futi kisko yar kiya
aise besabre se maine kyu pyar kiya
ab to majburi hai ye ghadi aai hai
sath sona hi pade ek charpai hai
tere bharose ko kabhi na daga dunga
tere bharose ko kabhi na daga dung
gale me laal tie ghar me ek charpai
takiya ek aur hum do ek hi hai rajai
shardi kaise jayegi kaho kaise hume nind aayegi
are gale se laga lunga hontho se coffi pila dunga
love this song so funny love being nostalgic