gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
na milta agar maikada to bataao
kaha zindagi se mulaakaat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
masaail the kuch is kadar zindagi ke
masaail the kuch is kadar zindagi ke
kabhi zakhm bhi gin nahi paaye apne
kabhi zakhm bhi gin nahi paaye apne
tamanna thi apne se milte kisi din
kabhi khud se bhi do ghadi baat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
hui khair nikle jo, dairo haram se
hui khair nikle jo, dairo haram se
thikana diya maikade ki gali ne
thikana diya maikade ki gali ne
kaha jaake hum kaatate dhoop ke din
kaha khatam hum apni barasaat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
uthaye huye bhoj sa, dil pe koi
uthaye huye bhoj sa, dil pe koi
bhatakte rahe shehar ki bhid mein hum
bhatakte rahe shehar ki bhid mein hum
yaha kaun apna tha apne alawa
jafar kisse izhaare haalat karte
na milta agar maikada to bataao
kaha zindagi se mulaakaat karte
gali koi apni, na shehar apna koi
kaha din bitaate, kaha raat karte
kaha din bitaate, kaha raat karte
kaha din bitaate, kaha raat karte
One of the best ghazals by Pankaj jee, super composition in Drabari and
Bahadar Shah Zafar's, the last Mughal emperor in exile I have no words to
explain the beauty of the lyrics. I have been looking for this for a long
time. Reflects the URDU spoken in Delhi and his Ustad Janab Zauq Saheb, the
great poet of his time during the Mughal era in India.