gam ho tumhara ya meri khushi ek hai dono baat
dukh me bhi ham sath hai yaaro sukh me bhi hai sath
are gaao re gaao taali bajao gaao re gaao taali bajao
are meri taraf se khushiya manao ho jaye yaaro dhmaal
are gaao re gaao taali bajao
are meri taraf se khushiya manao ho jaye yaaro dhmaal
are gaao re gaao taali bajao
aayi hai ghar se taaza khabar sunne se pehle thamo jigar
niklega chanda ghar me mere chamkega jisse sara nagar
thaali utha lota pakad chhota nahi are mota pakad
thaali utha lota pakad chhota nahi mota pakad
matka utha theka laga gamcha nahi chamcha pakad
matka utha theka laga gamcha nahi chamcha pakad
baja nahi to bartan bajaiyo maine kiya hai kamaal
gaao re gaao are taali bajao
meri taraf se khushiya manao ho jaye yaaro dhmaal
gaao re gaao taali bajao
do sau atharh chulha jala paani me aata nahi nahi
aate me paani jaldi mila
namber pichater roti jali khana hai taiyaar ghanta baja
garma garam kha le zara roti nahi boti bada
garma garam kha le zara roti nahi boti bada
sharma nahi ghar hai tera aalu patak murgi utha
murgi samajh ke baingan dabaiyo lassi piyo motilal
gaao re gaao taali bajao
meri taraf se khushiya manao ho jaye yaaro dhmaal
gaao re gaao are taali bajao
dharti pe utra neela gagan khushbu se mehka sara chaman
dil ki tamanna puri karo baaho me lelo aaye sajan
koi na ho apne siva aao chale aisi jagah
khoye kaha ho hosh me aao kuch to karo ji khayal
gaao re gaao are taali bajao
meri taraf se khushiya manao ho jaye yaaro dhmaal
gaao re gaao taali bajao gaao re gaao taali bajao