gaaun kaha tak gun main tere
brij ke krishan kanhaai
jab jab vipd padi bhaktan par
aa kar laaj bchayi
brij ke krishan kanhaai
kisi samay chittaud mein meera
bhakti ka awatar huyi
bhakti ka awatar huyi
saas sasur ko bah na bhai
soche kul ki laaj gayi
putravadhu rana sanga ki
ghunghru bandhe naach rahi
ghunghru bandhe naach rahi
ek taraf thi bairan duniya
ek taraf meera bai
surya kiran si bhakti faili
akbar shah ne jana
taansen ko pas bula kar
puchha ye batlana
kon hai ye meera ji jiski
charcha kare jamana
chhod ke duniyadari jisne
khuda se lobh lagayi
chittaud pati ki putravadhu hai
taansen ne batlaya
darshan karne jayenge hum
akbar ne jab farmaya
kaanp uthe sultan sen ji
bole kaahe bulaya
janam ke bairi aapke rana
ye kya dil mein aayi
ye kya dil mein aayi
lakh kaha par shaah na mani
ja panhuche jogi ban kar
jeth dhari heeron ki mala
parbhu bhagti mein kho kar
sanka ki meera ne puchhha
baai kaha jogi hokar
nadi kinare payi maine
shaaha ne banayi
laut gaye akbar delhi ko
jag ne mauka paya
bhrast ho gyi meera rani
rana ji ko bahakaya
shahi khajane ke ye heere
ashubad yaha se aaya
bhaktibhav ko dhong hai kahte
duniya nahi lajayi
duniya nahi lajayi