tumhara naam meri dhadakno me shamil hain
tumhara naam meri saanso me basa hain
tumhara naam mere tan badan me
zindagi ban ke rahta hain
sun sako to suno ki
in fizao ke hontho par bhi
tumhara hi naam hain
aa sako to aa jaao
ki mere saath ye fizaye bhi
sadiyo se tumhare intjaar me hain
gunj raha hain dil me na jaane
kabse tumhara naam
gunj raha hain dil me na jaane
kabse tumhara naam
aao rasta dekh rahi hain
gahri nili shaam, gahri nili shaam
gunj raha hain dil me na jaane
kabse tumhara naam
aao rasta dekh rahi hain
gahri nili shaam, gahri nili shaam
baadal parvat jhil pariende, jharen phul hava
puchh rahe hain ye sab mujhse, tum aaoge kya
tum aaoyege kya
inki ummide mere sapne, hone na do nakam
aao rasta dekh rahi hain
gahri nili shaam, gahri nili shaam
sar ko jhukaye ped khade hain, gumsum hain rahe
main hun ham hain tanhai hain, aur thandi aahen
aur thandi aahen
ab aa jaao hone nahi do, pyar ka ye anjaam
aao rasta dekh rahi hain
gahri nili shaam, gahri nili shaam
gunj raha hain dil me na jaane
kabse tumhara naam, gahri nili shaam
this is the second best song of this fantastic album. javed sahabs
simplicity, alka yagniks soulful voice and raju Singh wonderful
composition. one of my all time favourite albums.