Lyrics of Gulashan Pe Hai Bahaar Koyal Ki Hai Pukaar - गुलशन पे है बहार कोयल की है पुकार पिया आजा रे
gulshan pe hai bahaar koyal ki hai pukaar piya aaja re
gulshan pe hai bahaar koyal ki hai pukaar piya aaja re
gulshan pe hai bahaar koyal ki hai pukaar piya aaja re
bita jo bachapan to aayi javaani
bita jo bachapan to aayi javaani
uski kahaani piya tumko sunaani
uski kahaani piya tumko sunaani
jiya hai beqaraar baate to ho do-chaar piya aaja re
gulshan pe hai bahaar koyal ki hai pukaar piya aaja re
sakhiyo ne daale hai ambava pe jhule
sakhiyo ne daale hai ambava pe jhule
aise samay me saiya tum hamko bhule
aise samay me saiya tum hamko bhule
jivan ke ye din chaar kyun jaane de bekaar piya aaja re
gulshan pe hai bahaar koyal ki hai pukaar piya aaja re
aankho me aa ke piya dil me sama ja
aankho me aa ke piya dil me sama ja
ujadi huyi tu meri duniya basa ja
ujadi huyi tu meri duniya basa ja
chhedege man ke taar gaayenge ham malhaar piya aaja re
gulshan pe hai bahaar koyal ki hai pukaar piya aaja re
Another very beautiful Suraiya Ji song. She had 4 songs in this film.
Please upload if you have any non - Suraiya Ji song from this film (which
are missing). She makes a great combination with the great Ghulam Haider
Ji, though she didn't sing in a large number of films for him.