gulshan me tere jaisa koi gulab nahi
itni haseen maine dekhi kitab nahi
raaho me roz mujhse yun hi takrana
nazre milana aur fir hans ke sharmana
sharma ke jaane wale tera jabab nahi
ho sharma ke jaane wale tera jabab nahi
gulshan me tere jaisa koi gulab nahi
itni haseen maine dekhi kitab nahi
tera chehra takte rahna aadat si ho gayi
baarisho ke jaal bunna fitrat si ho gayi
zindgi ke soone pan me raahat si ho gayi
aisa lagta hai tu meri kismat si ho gayi
maujudgi bhi ab teri zarurat si ho gayi
jalwo ka tere humdam koi hisab nahi
jalwo ka tere humdam koi hisaab nahi
sharma ke jaane wale tera jabab nahi
ye tamnna hai meri bhi muskura kar dekh le
kuch meri sun aur apni kuch suna kar dekh le
mujhko bhi khwabo me apne tu bulakar dekh le
ya kisi din sath mere khud hi aakar dekh le
chahe jis tarah se bhi tu aazma kar dekh le
chhudunga sath tera main wo janab nahi
chhudunga sath tera main wo janab nahi
gulshan me tere jaisa koi gulab nahi
itni haseen maine dekhi kitaab nahi
raaho me roz yun hi takrana
nazre milana aur fir hans ke sharmana
sharma ke jaane wale tera jabab nahi
han sharma ke jaane wale tera jabab nahi
jabab nahi