ha main deewana hu chahe to machal sakta hu
khilvate husn ke kaanun badal sakta hu
haar to haar hai angaro pe bhi chal sakta hu
mere mahboob mere dost nahi ye bhi nahi
mere bebaak tabiyat ka takaja hai kuch aur
mere bebaak tabiyat ka takaja hai kuch aur
isi raftar se duniya ko gujar jane du
dil main ghut ghut ke tamanoao ko mar jane dun
teri julfo ko sare dosh bikhar jane du
mere mahboob mere dost nahi ye bhi nahi
mere mahboob mere dost nahi ye bhi nahi
mere bebaak tabiyat ka takaja hai kuch aur
mere bebaak tabiyat ka takaja hai kuch aur
ek din chhin lu main ajmate batil ka junun
tod du tod du main sokte duniya ka khushun
aur bah jaye yahi nabze jaroin ka khun
gairate ishq ko manzur tamasha hai ye yahi
gairate ishq ko manzur tamasha hai ye yahi
meri fitrat ka mee dost takaja hai yahi
meri fitrat ka mee dost takaja hai yahi