Video of this song from youtube
Lyrics of Hai Agar Dushman (Hum Kisi Se Kam Nahi) - है अगर दुश्मन (हम किसी से कम नहीं)
hai agar dushman hai agar dushman dushman
zamana gam nahi gam nahi
hai agar dushman dushman
zamana gam nahin gam nahi koi aaye
koi aaye koi aaye koi aaye koi
hum kisi se kam nahi kam nahi

hai agar dushman dushman
zamana gam nahi gham nahi koi aaye koi
hum kisi se kam nahi kam nahi
hai agar dushman dushman
zamana gham nahi gham nahi
hai agar dushman dushman

kya karein dil ki jalan ko
is mohabbat ke chalan ko
jo bhi ho jaaye ke ab to
sar se bandha hai kafan ko
hum to deewane diljale
zulm ke saaye mein pale
daal kar aankhon ko tere rukhsaron pe
roz hi chalte hain hum to angaron pe

aaj hum jaise jigar waale kaha aaha
zakm khaya hai tab huye hai jawan aaha
teer ban jaaye dosto ki nazar aaha
ya bane khanjar dushmanon ki zubaan aaha
baithe hain tere dar pe to kuch kar ke uthenge
ya tujhko hi le jaayenge ya mar ke uthenge
aaj hum jaise jigar waale kaha
zakm khaya hai tab huye hain jawan

aaj to duniya aaj to duniya duniya
nahi ya hum nahi hum nahi koi aaye koi
hum kisi se kam nahi kam nahi
hai agar dushman ddushman
zamana gham nahin gham nahi
hai agar dushman dushman

lo zara apni khabar bhi
ik nazar dekho idhar bhi
husn waale hi nahi hum
dil bhi rakhte hai jigar bhi
jhoom ke rakha jo kadam
reh gayi zanjeer-e-sitam
kaise ruk jaayenge hum kisi chilman se
zulfon ko bandha hai yaar ke daaman se

ishq jab duniya ka nishana bana aaha
husn bhi ghabra ke deewana bana aaha
mil gaye rang-e-hina khoon-e-jigar aaha
tab kahi rangin ye fasana bana aaha
bhesh majnu ka liya maine jo laila ho kar
rang laya hai dupatta mera maila ho kar
ishq jab duniya ka nishana bana
husn bhi ghabra ke deewana bana

ye nahi samjho ye nahi samjho samjho
ke ham mein dam nahi dam nahi koi aaye
koi aaye koi aaye koi aaye koi
hum kisi se kam nahi kam nahi
hai agar dushman dushman
zamana gham nahi gham nahi
hai agar dushman dushman
lyrics of song Hai Agar Dushman (Hum Kisi Se Kam Nahi)
Comments on song "Hai Agar Dushman (Hum Kisi Se Kam Nahi)"
snokash on Thursday, December 10, 2009
Rafi Shb is most convincing voice to me and this is one of the finest examples, great qawali sung.
Rafi Habib on Saturday, November 28, 2009
One of the best Qawalis of Hindi Cinema.. Look at the heavy & poerfull
Voice of Mohammed Rafi Sahab? He truely was amazing.. who would say that
Rishi Kapoor is not singing? How well His Voice suits to Him? I salute the
great great Voice of Rafi Sahab..
Sharapovasa on Tuesday, August 16, 2011
@t7aram will you please help us to find out Terhi Topo Wala, the reference
is that He Acted in Rishi Kappr's Qaawali, he used Wear side Caps and did
many adultry scenes with girls in his film and keep butter on his mouth...
Adil G. Uddin on Saturday, January 21, 2012
Allah Rafi Marhoom ki maghfirat farmaye.Unke chahne waloun mein real
doctors bhi hain aur fake bhi. Waise Rishi Kapoor ko pata bhi nahi hoga key
uske career ko Amir Liaquat ne kaise revive kardiya hai.
TheGlittersparkle on Thursday, August 18, 2011
Haha ha so Amir Liaquat bought you all here, must say I also jumped the
bandwagon! Just came to see the comments about the "hot topic" circulating.
We'll certainly remember this day! lol
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Hum Kisi Se Kum Naheen (1977)
Rishi Kapoor, Kajal Kiran, Tariq, Amjad Khan, Kamal Kapoor, Om Shiv Puri, Murad, Vimal Ahuja, Master Bunty, Baby Rani, Leena Das, Tom Alter, Ajit, Zeenat Aman, S Banerji, Aarti, Nandita Thakur, Nitin Sethi, Agha, Jalal Aga, Ravindra Kapoor, Bhushan Tiwari, Ashoo, Sushma, Shefali, Rani, Arpana, Ratna, Yashraj, Ahmad Khan, Rajendra Singh, Amarjeet, Rajesh, Omi, Chandan, MaqsoodAsha Bhosle, Kishore Kumar, Mohammed Rafi, R D BurmanMajrooh SultanpuriR D BurmanNasir HussainNasir HussainHum Kisi Se Kum Naheen at IMDB      Hum Kisi Se Kum Naheen at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type