ye jo halka halka suroor hai
tere ishq ka hi fitoor hai
maine jo likha tha mita diya
aur tujhko apna khuda kiya
ye jo halka halka saroor hai
tune kuch kiya toh zaroor hai
jis din se tu hai dikha kiya
maine saans lena bhula diya
jisme se rooh ka ik safar ho tum
aakhri saans mein ik umar ho tum
duniya ki bheed mein mujhko bas tu dikhe
kya main tumko dikhu kaho na tum
ye jo halka halka suroor hai
kuch ishq sa to zaroor hai
maine jagna sona bhula diya
mujhe kya se kya hai bana diya
tu mere khun mein beh raha hai kahi
tu mere khwab mein jag raha hai kahi
meri har baat mein bas tera zikr hai
kuch mere baare mein kaho na tum
ye jo halka halka suroor hai
tere ishq ka hi fitoor hai
maine jo likha tha mita diya
aur tujhko apna khuda kiya
kisi ne na kiya hai jaisa ishq tera mera
main daudta aata hu koi naam le jo tera
kisi ne na kiya hai jaisa ishq tera mera
mere ghamo ki raat ka tu ujla savera
rehne do na nashe mein tum phero na nazar
halka sa hi aaya hai abhi chaahat ka asar
kisi ne na kiya hai jaisa ishq tera mera
main daudta aata hoon koi naam le jo tera
kisi ne na kiya hai jaisa ishq tera mera
mere ghamo ki raat ka tu ujla savera